Thursday, June 7, 2012

Sarfarosh


Kabhi zameen hoon, kabhi asmaan
Kabhi yaqeen hoon, kabhi gumaan
Kabhi ayaan hoon, kabhi nihaan hoon
Kabhi khushi hoon, kabhi fughaan

Yoon haqeeqat kay noor say
Hay roshan yeh kainaat
Hay gunahon kay ujalaon say
munawwar rah-e-nijaat

Sawal-e-zindagi ki goonj say
larzaan mera wajood
Na justujoo na parastish
Na koi abd na mabood

Isi khoj ko lekar barhayen gay yeh karvaan
Inhi zulmaat ki zad pay basayen gay ik jahan...

Kabhi fikar hoon, kabhi sabar
Kabhi idhar hoon, kabhi udhar
Hoon noha, hoon ghazal bhee
Main hayaat... main ajal bhee

Yoon haq o batil kay intishaar main
Hay muntashir jahan
Kamal-e-husn-e-saadgi main chupi
Sharr ki dastaan

Saakin lab-e-kausar
hain sadaqat ki hawaain
sawal-e-aab nahi yeh
hain yeh afat ki nidaain

Inhi maujon ki rawani main hay zindagi ka raaz
Isi sakoot main basa hay har sawal ka jawaab

Na main rehm hoon, na jafaa
Na main iblees, na khuda
Na taabay, na rahnuma
Hoon na moosa, na maseeha

Mehroom hay wafa say jo
Woh jaan nisaar hoon
Main sach ki aag hoon
Haq ka perokaar hoon
Meri soch na tanha…
Na tujh say baeed hay
Kay is inquilaab-e-waqt main
Tu bhee shareek hay

Har ahed main yeh baar-e-giraan hum uthain gay
Ik qadam tum barhao gay… ik qadam hum barhayen gay

No comments:

Post a Comment