Thursday, October 11, 2012

Yaheen Kaheen

Ab yahan… bayabano main
In rait kay paharon main
Azm kay devta sajay hain...
Aur azm khaak ho chukay hain!

Kahan gaye wo hum nasheen?
Kiya huay wo hum sukhan?
Teri baaton kay jo aseer thay
Poojtay thay jo tera husn

Haan yaheen… paymano main
Gardish kay mekhano main
Lahoo kay jaam dhul rahay hain...
Khuaab khoon ho chukay hain!

Jo khoj thee wo kho chali
Jo raaz thay wo reh gaye
Junoon, ghazab ko choo gaya
Aur jazbaat main yoon beh gaye


Dekho yaheen kaheen …
Hay us umeed ki lehad
Yaheen kabhi basay thay
Chahaton kay wo shehr

Yaheen kaheen gireen theen
Bay rukhi ki bijlian
Haan yaheen airiaan ragartay
Nikli thi meri jaan


Ab yahan… ujalon main
Meray cheekhtay sawalon main
Wohi arzoo basi hay
Aur ab raat ho chuki hay…