Thursday, January 23, 2020

PHOOLON KA JHOOT


Andheron ne suna
Ujalon ki zubaan
Miltay hain ik jaga
Teray meray aasman

Par...
Main tou hoon bus ik nazara
Tujh se chupa
Sunn meray munn ki andhi
Kehti hay kia?

Ye jo rung hain
Teray rubaru
Inhain roshni dikha

Ye jo raaz hain
Teray darbadar
Inhain dil me de jagah

~

Andheron ne chuna
Hay ik shakhs doosra
Rehta hay har jagah
Teray saaye ki tarah

Aur...
Be waja ye saari baatain
Tujh se karoon
Mehkoon jo is lehad main
Paaon sakoon

Hay ye khudkushi
Teri beydili
Isay maut na bana

Hay jo har taraf
Teri saltanat
Isay aag de laga


Monday, September 16, 2019

KUCH SAAL


(Milan Mladenović aur Ahl-e-Balghrad se maazrat kay saath)


Tum aur main yahan
Bethay hain is jaga
Khabrain aur surkhiaan
Kartay hain qayas
Bus kuch saal…
He hain
Hamaray paas…

Kath putliyon
Ki Baaz gasht
Tha har kisi ka
Bandobast
Aur har koi
Moqa parast…

Ye sab jin kay khel thay
Wo kehtay hain aaj
Bus kuch saal…
He hain
Hamaray paas…

Tumhain kia
Hay ye pata?
Kay hay mujhay
Bus teri justuju
Jo main hoon jaan’ta
Kia us main
Hay meri baqa?

Chaho aisay
Jaisay kabhi
Kuch aur chaha nahi
Chaho aisa
Jo kabhi
Kisi aur ne chaha nahi…

Tum aur main yahan
Zinda hain is tarha
Bay laag si,
Bekaar si,
Baaton ka
Difaa kartay
Kotahiyon kay
Jashan main
Waqt ka
Zayaan kartay…

Maazi se jurr kar
Apna haal
Bigaartay huay
Guzri
Dastanon main
Mustaqbil
Ubhaartay huay
Kehtay hain aaj
Bus kuch saal…
He hain
Hamaray paas…

Hurf nahi ye aam se
Halal aur haram se
Kaafi hain kia alfaaz ye?
Meray jeenay kay liyay?
Is shor main
Is zor main
Kamzor tu
Kamzor main
Har jawab main wohi sawal
Kia kuch saal…
He hain
Hamaray paas…?

Chaho aisay
Jaisay kabhi
Kisi aur ko chaha nahi
Chaho aisa
Jo kabhi
Kisi aur ne chaha nahi…

Ye karwaan e nafi
Chalta hay,
Panapta hay
Teray manaziron ki
Tumheed ki tarha
Mohoom si
Umeed ki tarha…
Ubhray teray ufaq pe
Kirnain hon jesay,
Mojain hon jesay
Fojain hon jesay

Daurti…
Ye bay dili
Ragon main
Lahu ki manind
Kisi tifl e na rawa ki manind
Aab o hawa ki mannind
Dard o dawa ki manind

Barhti rahay
Jesay khwahishain
Jesay ranjishain
Aur maar dalay, sangdili se
Har khwaab, har awaz
Jo is nafi kay hon khilaaf…!

Ab likh chala hay qalam
Aur roshni hoti hay kum
Soch parti hay nidhaal
Shayad kuch saal…
He hain
Hamaray paas…






Thursday, April 11, 2019

MUKHFI


Chup… yunhi dhal gayee
Sham… sitaron main doob kar
Waaday… ye puranay
Phir nibhanay ka soch kar
Koi yaad, bay awaaz
Pagal kahay mujhay
Dil idhar, dharkay magar
Seenay main raat kay

Khirkiyan hain tak rahi
Udaas hay ye roshni
Dhoondo mujhay na is jagah
Ho chala main gum shuda!

Shehr… tamam sokhtann
Jesay… jalay tera badan
Pighlain yoon munn ki aanch pay
Munjamid wo silsilayy
Nakhuaandah ye ulfatain
Ankhon main hay saroor bhi
Duniya ki rasmain har kuja
Moqa bhi hay, dastoor bhi

Rehzano kay maatehat
Shadi shuma zindani ast!
Khojo na mujhko is tarah
Maskan mera hay gumshuda!


Aa surr naya ik cher dey
Jo ho gaya so khair hay

.   .   . 



Thursday, March 14, 2019

MANN HASHTAM


Har ashk hay khursheed
Bay kaif har umeed
Suay maqtal ye charaghan
Teray ujalon ki hay nafi
Dam tor gayee justuju
Hay jaan ba lab khushi
Na dozakh na barzakh
Idhar kuch bhi nahi

Mann Hashtam…


Teri parwaz, bay nayaaz
Teray nuqs har kujaa
Teri bay khauf azadi
Ba naam e zindaan
Tu hay tou hay gunah
Kharabaat ka saamaan
Chashm barrah hain lazzatain
Magar nahi koi yahan

Mann Hashtam

Wajood nidarid
Hech taza warid

Aftada mardam
Kia khauf ka alam
Ye meri jahannum
Teray supurd hay
Sab teray supurd hay