Monday, February 18, 2019

KHOYE HUAY LOAG



Hum khoye huay loag hain.
Dhoondo tou janain…

Gumm hain, sunn hain
Apni hastion main chupay
Mujrim banay
Hain kharay

Kuch maazi kay hijab main
Kuch qurbat kay iztiraab main
Lamhon kay intizaar main
Aur kuch yoon he bekaar main
Gumm hain…

Na soch hay, na hosh hay
Na dil pe koi bojh hay
Hum kho chukay hain roshni
Lafzon ka sukh aur chashni


Hum sab…
Sab luta chukay hain
Aur buht kuch lutana chahtay hain
Hasraton aur nafraton ki rahguzar pe
Sajay hain, kharay hain…
Sada de rahay hain
“Hay koi lutera jo aye…
aur humain loot khaye?”








Wednesday, February 13, 2019

KHAAR-PUSHT



Khali kaghazon pe
Mil gaye jo hum aur tum
Phir huay yoon mehv e raqs
Lafzon se ho kar hum qalam

Na rawa sa, be waja sa
Dil hay kuch yoon bhuja sa
Kaanton se ulfat he sahi
Khaarpusht jesay koi…

Hil rahay hain, mil rahay hain
Ye hont kesay sil rahay hain
Awaz jo uthay koi
Daba do us ko waheen!

Hum maut ko apnayen gey
Aur shaheed phir kehlayen ge
Yehi sultanat kay asool hain
Hum sab idhar maqtool hain


Na hum rahain na tum raho
Aisa he kuch ab kar chalo