Saturday, July 14, 2012

Khuda-Kush

Teray gustaakh labon ki qasam…
In mazmoom nigahon ka bharosa tu hay
Main ghira hoon mehekti shamon kay tasawwur mein
Meray zehn ki mehboob ikhtiraa tu hay

Main raat chaandni, isi qurbat ka hoon malaal
In chamaktay sitaron say chalakhta hua sawaal
Teray wajood kay har nuqs ka main hoon musawwir
Bhagwaan hooon tera, teray jazbon ka khuda hoon

Jism tarash haathon ki qasam…
Teray seenay say ubalta hua azaab hoon main
Meri khwahish ki siyahi hay teray dard ka darmaan
Teri aarzi sochon ka inquilaab hoon main

Khoya tha in ankhon mein jo, mar chuka wo shakhs
Yeh jism, yeh azam… yeh ghazab meri jaza hay
Jo haath uthen meray iradon ko jhonknay
Unhi hathon ki lakeeron main likhi teri qaza hay

Falak-bos farishton ki qasam
Kay main gira hoon kayee pastioon say
Na kisi b’ut ko pukara, na ki bandon say iltija
Bus kia tujh ko yaad, apni gehraiyon say

Main nay apni bood-o-baash teri chah main badli
Main nay apna bharosa tujhay soonp diya tha
Bus shukr tha husti main… na inkaar, na takraar
Bay-niyaaz sawalon say, main mudhosh hua tha

Magar us muhkam yaqeen ki qasam
Main taar taar ho gaya, na huay khatm imtihaan
Khurchay gaye zakhm, nikalti thi meri jaan
Tujh ko jo kia yaad… tou hua aur bhee halkaan

Thee rooh pareshaan… tu pardon main chupa tha
Sab kuch hua barbaad… Tab tu kahan tha?
Hua khaak aik insaan… tab tu kahan tha?
Mit gayee meri pehchaan… magar tu kahan tha?

Is Bechain Arzoo ki Qasam
Meri zaat ki aandhi ki Qasam
Lafzon kay is toofan ki Qasam
Faramosh duaa’on ki Qasam…

Mein tera kuch nahi bigaar sakta… mujhay maaf kar dey…

Baat

Us nay kaha jaan hay tou jahaan hay
Main dekhta raha…
Us nay kaha raat hay tou nasha hay
Aur main kho sa gaya…
Us nay kaha fikar hay tou shukar bhee hay
Main sochta raha…
Us nay kaha dil hay tou jazbaat bhee hain
Aur main dekhta raha…

Kis bulandi say dekhta hoon main zindagi kay dhung
Kis pasti say ubharta hoon main badalon kay sung
Ik sawaal hay bay-chain sa… aur kuch teri pyaas hay
Tu he bata is bay basi ka bhala kia ilaaj hay?

Tu nay kaha insaan hay naadaan bhee tou hay
Main sochnay laga... kay main bhee insaan he tou hoon
Tu nay kaha hum duur hain aur duuriaan bhee hain
Aur main dekhnay laga… duur kaheen taaron ko

Weeraan hay, sunsaan hay, anjaan hay yay rooh
Khali hay, sawali hay… pareshaan hay yeh rooh
Kuch khaas nahee, do pal ka saath buht hay
Kia jano kal main kahan aur kahan yay raat

Tha jiska intizaar shayad… wo kaheen aas paas thaa
Aur ankhain theen kay usko bus dekh na sakeen
Tha jisko ikhtiaar… wo khaak ho gaya
Aur hawas ki aag main ik insaan jal gaya

Haan tum bhee musafir ho… haan main bhee musafir
Haan tum bhee ho tanha… na koi hay meri manzil
Na tumko hay yaqeen… aur na mujhko hay umeed
Aao qadam uthain saath… aur kho chalain kaheen

Sitaron kay jamghatay main, chamakti thi kehkashan
aur zameen pay dhoondhta tha main apna ashiaan
na us ko hui chah… no mujhko mili wo raah
aur yeh sama dekhtay huay main khud bhee kho gaya…

Us nay kaha kay raatain hain… tou qurbat kioon nahee?
Menay hans kay taal dia… aur yoon baat khatam hui…

Friday, July 6, 2012

Teesra Musafir

Raat hay, main hoon aur woh
Pichlay pehr ka nasha
Ankhon main,
Ankhon main meri haan...

Kuch neend ka khumaar hay
Kuch aisa iztiraab bhee
Chaand bhee chupa chupa
Hay Badalon ka raaj bhee…

Surr hay, taal hay
Poocho na
Yeh gunah ka jaal hay
Poocho na
Hay raat ajnabi see…
Magar koi ajnabi nahee…


Chaand, na chandni hay, na woh
Tasveer hay udaas see
Haathon main,
Haathon main meri haan…

Mudhum see parchaiyan
Raqsaan hain deewaar par
Jo qarz tha ada hua
Ab bhool ja hisaab bhee...

Barbat hay, jaam hay
Dekho na
Har lafz intiqaam hay
Dekho na
Khunki hay jo hawa main
Kuch aur keh rahee hay yay…


Main hoon, tum ho, aur woh hay
In Tareek haywalon say
Jo ankhain tujhay dekhtee hain
Woh meri nahee…

Manzil

Idhar hay sochon ka azaab
Idhar hoon main
Idhar ulfat kay hain saraab
Idhar hoon main

Kioon hay zalim yeh asmaan?
Girti hain kaisi bijliyan?
Na hay yaqeen… na hay gumaan
Qaedi hain kioon sub yahan?

Yahan gharat ho sabr-o-qarar
Yahan hoon main
Sun lafzon ki yeh pukaar
Yahan hoon main

Yeh aas khilti hay kioon?
Phir Mitti main milti hay kioon?
Rukh badalti hay kioon?
Khwahish yeh barhti hay kioon?

Menay abhi kuch kaha tou nahi
Tum nay abhi kuch suna tou nahi

Idhar hota hay ihtisaab
Idhar hoon main
Idhar zukhm hain bay hisaab
Idhar hoon main

Idhar zinda hai tera naam
Idhar niklay gee meri jaan
Yaheen hay mera ikhtitaam
Idhar qissa hoga tamaam

Woh sub sawal, milain gay idhar
Behkay khayal, milain gay idhar
Mera lahoo bahay ga idhar
Mera junoon, rahay ga idhar

Kiyunkay tum bhee tou yaheen qaed ho...

Shehzadi

Mar miti hay jin naqoosh pay
Wo raazdaan teray nahi
Jo khauf ka mayaar hain
Ik rait ki deewaar hain…

Azal say hay yeh rooh qaid
Aur khwaabnaak hain yeh pal
Nami jo ankh main rehti hay
Meri simt jo behti hay

Luta denay ko yoon tou
hain kayee raaz bay qarar
Kitnay chaand hain sapno kay
Kitnay ghum k sitaray hain

Yoon thum na jati meri saans
Jo tu itni inayat say…
Mujhay rubaru bithati
Aur yeh raat bikhar jati…

Kay pyaasay dil bhee hain
Aur yeh pal bhee…
Yeh chaand bhee, chilman bhee
Yeh jaan-ba-lub qaatil bhee
Hain saagar-o-sahil bhee
Wo bhee hay aur tum bhee…

Yeh junoon pyaas ko uksaye ga
Nayee roshni phailaye ga
Teri aankhon main sama jaye ga
Tujhay rangon main lay ayega
Aur khud fana ho jayega…!