Tuesday, March 19, 2013

KHAUF

Khamoosh....
abhee tou andheray main
hay mehfooz mera aks
Shayad...
Kisi ki soch mujh tak
Bhee ja puhnchay

in bebaak sadaon main
hay kis ka fasana?
In rukti hawaon main
Kioon thehra hay zamana?

Bujhtay huay khwaab yoon meray chup hain
Hay kis ka intizaar... kioon andheray chup hain ?

Abhee...
Abhee tou raat baqi hay
Na maango abhee dua
Nahee...
Abhee tou nasha bhee
Toota nahee....

In behkay qadmon ko
Lejaaon main kahan?
In pyaasi nigahon say
Kia dekhoon yeh manzar?

Sehmay huay meray sab armaan chup hain
Aur kon hay yahan... jo raazdaan chup hain?

Kuch nahee hay yahan
Meray gunahon kay siwa
Meray murda sawalon ko
Dena na zindagi.... abhee nahee

Woh jo rehta hay khamoosh
Is baychain andheray main
Woh jiska darr hay mujhay
Jis ka rukh hay meray main
Woh bala... woh shaitaan
Woh zinda murda insaan
Main hee tou hoon.........!!!

Wednesday, January 16, 2013

Ghalti

Har qadam pay hain lafzon kay jaal
Ankhon main chupay hain janay kitnay khayal
Taptay hain… rukhsaar, teekhay hain hont
Chaata hay khumaar, aur khota hay hosh…

Main hoon… karb
Main hoon… aari

Aay mahlaqa, mujhay saanson main khonay de
Shola zubaan, bus yeh faisla honay de… abhee

Chupta nahi hay ab dil ka ghubaar
Is ghafil zehn pay hay koi sawaar
Wo munn ka… aaseb, wo qaatil mera
Rughbat ka shaitan… jo hay mujh main basa

Wo hay… dard
Aur wo hay… maazi
Wo hay… marz
Wo hay… haavi

Lazzat, zehr, maza, fareb
Sharm mita, aur khud ko baich
Hasrat, talab, rehm, jafa
Izzat ko khwahish ki bheent charha


Yoon bay dharak hay haathon ki pyaas
Girta badan say hay teray libaas
Larzaan hay… aghosh, dil main hay chor
Hoti hay khata, hain iraday kamzor

Aur main hoon haq
Aur main hoon haavi
Aur main hoon bund
Aur main hoon…
Mukar… Fikar… Sabar… Bashar…

Lazzat, zehr, maza, fareb
Sharm mita, aur khud ko baich
Hasrat, talab, rehm, jafa
Izzat ko khwahish ki bheent charha