Monday, June 25, 2012

INTIHA - The Beginning


Dark eyes, bleak is the vision…
Black is the heart of my benediction
The mourning light she left behind…
Malice of choice, to speak her mind
O’ sleep, come home and put me down…
Been up too long in this fallen town...

No lament, no grin… The wages of sin…
In and out of a dream… somewhere in between…

A lurking spark that’s in her eyes
Kindling the fires deep inside
Standing beside, my lonely flame…
Naked, stark… ignited again
O’ sleep! O’ come… and take me down
Sweep me away from this fallen town…


Teri Chup main jo shor hay… 
Batla raha kuch aur hay 
Aa noch lay yeh perahan… 
Kay yeh bay hisi ka daur hay 
Yeh irtaash nayee soch ka… 
Nayee chahaton ki khoj ka 
Phir hum sukhan ho jaye… 
Ik nayee kasak jagaye!. 

Wohi rawish hay, wohi chaal hay… 
Bus usi raat ka malaal hay 
Naadim hay dil, baatil zabaan… 
Har sawal… ik jawaab hay 
Maskan mera gumnaam ho… 
Aur wajood ho gosha nasheen 
Tareekiaan hon jalwagar… 
Dum tor dey yeh roshni…!! 


This carousel is all I know…
Claiming my soul, gnawing my heart
Weary, amidst this circus… this life
I kneel, I break… I fall apart
O’ mirth, O’ come… and smite me down
Been a jester too long in this fallen town
A step below…. A notch above
Its vile, its bitter…. It’s you my love!
A savage lust they brood and they breed
In the name of desire… a sin indeed
Belching are their charming words
And yet you melt in their warmth… you’re deceived
To love is to lose your way…
Bringing you down… to this fallen town!


Koi devta ban betha… 
Tera khuda ban betha 
Phir talkh hui har khushi… 
Jo tu rehnuma ban betha 
Maazi ko lubhaatay raho… 
Naye zakhm lagatay raho 
Bastay ho meri ankhon main… 
Meri neendain uratay raho! 

Yeh jo bikhri hain ird gird… 
Beeti yaadon ki kirchian 
Yeh jo behtay hain teri simt… 
Teri zulfon kay aashna 
Jaan lay kay in ki ankhon main parastish 
Hay teray jism ki khaatir 
In kay honton pay tera naam… 
Mehez taskeen-e-hawas hay… 
Na pooch aay devi… yeh tujh say kia chahtay hain… 
Teri laghzish hay ibtida… yeh intiha chahtay hain… 
Woh intiha main hoon… 
Tera khuda main hoon!

Sunday, June 24, 2012

Haasil

Shukriya…
Shukriya tumhara
Main bhala… kesay ada karoon

Sun lia…
Shikwa tumhara
Ab kaho… kesi saza doon?


Kumla gaye,
Yaadon kay rung…
Teri hansi,
Mera kafan…
Dil kay soorakh
Banay raasta…
Gumrahiyon ki,
Amaajgaah…

Bund khirkiyaan,
Bekaar khoj…
Khushboo teri,
Aur meri soch…
Saansain teri,
Meri fiza…
Utarta nasha…
Hosh ka…


Tu hay mujh say munsalik
Main tujh main hoon dafan
Tu mujh main tou nahi
Main tujh main hoon dafan…

Saboot

Bharna chaho jo tum yeh shigaaf
Khurcho in Zakhmon ko aik baar
Choro qismat kay likhay ko tum
Meray seenay ko jala do aaj
Kar do raakh…

Menay kuch kaha tou nahi
Aisa kuch hua tou nahi
Phir bhee…
Bay-waja… kuch na tha

Kioon na pehlay mehka yeh suroor?
Jaantay ho tum apna qasoor
Poocho mujh say kia hay yeh majira
Hasraton main sulagti iltija

Menay kuch kaha tou nahi
Aisa kuch hua tou nahi
Phir bhee…
Koi tha… kuch na tha

Chehron Kay Paar

Khamooshi…
Kiyoon aisi…?

Simta nafrat main qaraar
Marzi khuda ki… dushmani main rachi…

Khamooshi…
Ho aisi…

Thora sakoon chahiyay
Khoya junoon chahiyay
Thori shikast thora malaal
Puri umeedon kay saath
Thora sitam chahiyay
Tera rehm chahiyay
Aag aur badan chahiyay
Saanson ki garmi, ubalti, dehkti, dozakh main jannat… chahiyay!

Yeh jisam ki hay pukaar
Kisi chamaktay sitaray ki tarhan
Tareekh say chimti
Aik uryiaan haqeeqat
Maut say humbistar…
Aur jab tum ho jaogay seraab… tou chamko gey tum bhi
Kisi aghosh ki zeenat ban kar…

Simta dua-on main aitibaar
Munn ki khalish… khuda ban gayee…


Hum hamesha hain
Hum hamesha thay
Hum hamesha say
Hum he hain


Thora sukoon chahiyay
Ankhon main khoon chahiyay
Thori si chahat ki pyaas
Thora sa sach thora qayas
Thora jabar, thora lahoo
Thora sa ‘kia’, thora sa ‘kioon’
Kuch darmayan… kuch dar-badar
Yoonhi garajti, bikharti, behekti khamooshi… chahiyay!

Saturday, June 16, 2012

Sajda

Aik din us makaan main
Basnay wala
Awazon ka aseer
Jhunjhula kar… girgira kar
Gira…

Ujalon say rooth kar
Chup chaap khayalon main
Naye deep jala kar
Apnay andheron ko ankhon main saja kar
Sar apnay kitnay hee ilzaam laga kar
Gira…

Gira, aur kho gaya…

Jo hua roshan nigahon ka andhera
Tou ahsaas ki tanhai nay
Khud ko akela na paya…
Sar utha kar… khauf chupa kar
Dekha kay…
Kafan posh kayee log kharay
Un kay honton pay taalay lagay
Chup chaap khayalon ki zubaan main
Apnay haathon ko uthaye huay
Ajab hisaar banaye huay
Ird gird kharay thay…

Phir goonji aik sadaa
Koi Soor phoonka gaya…
Aur gir gaye wo log…
Apni hee nazron main!

“Aay awaz kay aseer…
Kia poojtay ho khwaabon kay devta ko tum?
Kia jurm tumhara inhi logon ki tarha hay?
Kia tum bhee ho aag-o-tamanna say muztarib?
Taqdeer kay har mor ko kia kostay ho tum?”

Laraz gaye wo log…
Aur laraz uthi zameen…
Tauheed ki chitaa say
Chingaariaan ureen
  
Bola woh aseer:
“Na main tera mujrim hoon… na tu mera dushman
Na bughz say teray bhara hay mera daaman…
Main tou hoon bus ik saayaa…
Guzri zindagi ka
Aik murda admi ka…”

Ayee nidaa yeh phir, kay:
“Gustaakh teray lafz… hay baybaak teri soch
Kioon ghaafil hay naymaton say?
Kioon karta nahi shukar?
Jo jaanta hoon main… tu jaanta nahi…
Aadmi hay tu… koi khuda nahi...”

Bola aseer darr kay:
“Meray Maalik, meray gunah
Bay shumaar hain lekin…
Kia haq nahi insaan ka
Khwaabon ko taraashna?
Kia soch aur taskheer
Mera nahi shuaar?
Azmayen gay kab tak mujhay
Taqdeer kay sawaal?
Kab tak yeh umeedain meri
Muslehat ki aag ka
eendhan banain gee?
Justujoo meri hasti ki
Yunhi jalti rahay gee?”

Garja phir asmaan
Khashmageen saltanat…
Kafan poshon nay apnay haath
Zameen bos kar diyay…
Koondi phir bijliaan aur agaya jalaal
Kehnay lagay wo log yak-aawaz aik saath

“Hum saaz-e-Israfeel hain…
Humain jaltarang na jaan!
Hum hikmat kee riwayat hain…
Na kay jazbaat ka hejaan!”

Ayee Nidaa Falak say yeh:
“Aay muqaffal logo…
Jao tum ko amaan hay!
Yeh aseer hay yaadon ka
Is ki marzi kab yahan hay!
Is ki soch ka zindaan hay
Maqtal tumharay sach ka…
Uriyaan hay is kay qafas main
Tumharay noor ki devi!”

Phir gir gaye wo log…
Kafan phaar kay apnay
Aur utha aik shor naya…
Dharaktay dilon say!

“Hum hain tera husun…
Teri zindagi kay rung…
Na tu murda hay… na jaabir hay
Na apni soch pay qadir hay…
Chor runj ka daaman… bhula arzoo ki khoj
Naya jism kar talaash… nayee maut ki aghosh”

Bola Aseer apni nigahon ko jhuka kar
Un-dekhi hamaqaton ko gulzaar bana kar
“Hay qayam mera ahed
Aur shikasta mera eemaan
Meri zindagi kay rung…
Buht surkh ho chalay hain
Khwahish ka kaghaz…
Lahoo choos chuka hay!
Faraar… phir aik baar
Baykaar hee samjha…
Main apnay aap ko
Bus aik kirdaar he samjha!”

Haathon ko uthaye huay
Tehleel huay log…
Aur unkay honton kay wo taalay…
Toot chukay thay…

Hui larzaan phir zameen…
Aur chanay laga ghubaar
Ankhon kay andheron main
Hui gul phir chahat ki roshni…
Uthaya jo sar achanak
Tou badan bheeg chuka tha
Waqt ka dhaara…
Usi simt behnay laga tha…

Kesa kafan… kesa hisaar?
Yahan aur kuch na tha…
Nayee Awaazain
Shokh dilon ki… faaslon ki
farash say ubal pareen
Aur aseer un awazon ka…
Apnay labon ko see kar…
Ungliyaan ankhon main ghusa kar
Naye deep bujha kar…
Khwaabon kay andheron ko
aag laga kar
Dozakh bana kar…
Phir aik baar… Gir gaya!

Thursday, June 7, 2012

Sarfarosh


Kabhi zameen hoon, kabhi asmaan
Kabhi yaqeen hoon, kabhi gumaan
Kabhi ayaan hoon, kabhi nihaan hoon
Kabhi khushi hoon, kabhi fughaan

Yoon haqeeqat kay noor say
Hay roshan yeh kainaat
Hay gunahon kay ujalaon say
munawwar rah-e-nijaat

Sawal-e-zindagi ki goonj say
larzaan mera wajood
Na justujoo na parastish
Na koi abd na mabood

Isi khoj ko lekar barhayen gay yeh karvaan
Inhi zulmaat ki zad pay basayen gay ik jahan...

Kabhi fikar hoon, kabhi sabar
Kabhi idhar hoon, kabhi udhar
Hoon noha, hoon ghazal bhee
Main hayaat... main ajal bhee

Yoon haq o batil kay intishaar main
Hay muntashir jahan
Kamal-e-husn-e-saadgi main chupi
Sharr ki dastaan

Saakin lab-e-kausar
hain sadaqat ki hawaain
sawal-e-aab nahi yeh
hain yeh afat ki nidaain

Inhi maujon ki rawani main hay zindagi ka raaz
Isi sakoot main basa hay har sawal ka jawaab

Na main rehm hoon, na jafaa
Na main iblees, na khuda
Na taabay, na rahnuma
Hoon na moosa, na maseeha

Mehroom hay wafa say jo
Woh jaan nisaar hoon
Main sach ki aag hoon
Haq ka perokaar hoon
Meri soch na tanha…
Na tujh say baeed hay
Kay is inquilaab-e-waqt main
Tu bhee shareek hay

Har ahed main yeh baar-e-giraan hum uthain gay
Ik qadam tum barhao gay… ik qadam hum barhayen gay

Naseehat


Meray geeton main bastay ho
Kia khoob kartay ho
Naye rangon main sajtay ho
Kia khoob kartay ho

Baadalon, yoon na muon phero
Main tou bus phir hoon sawali
Afaton, mujh say na rootho
kay main ab dard say hoon aari

kabhi dekhay jo woh chehray
ghiray gardish ki baanhon main
laut ayee wohi chahat
liyay tuhmat nigahon main

ab bhee chehray badaltay ho?
Kia khoob kartay ho!

Nira ahmaq hoon main bhee tou
Hoon kitna main bhee deewana
Baharon, mujh say kia parda?
Main tou khud say hoon begana

Yeh pagal pan nahi logoun
Hay yay is rooh ka sarmaya
Saazishon ki dhoop main
hay yeh Junoon mera saya

mujhay pagal samajhtay ho?
Kia khoob kartay ho!

Qaatil


Yeh hay meri kaal nagri
Aur main hoon iska farishta…
Main khuld hoon sitam ki
Wehshat ka andhera hoon

Yeh kasak meri siyahi hay
Jo meri jabeen pay…
Hay aweezaan,
Usi tarah…
Jaisay tu nay sajayaee thi
Aur jabeen muskurai thi…

Main raqabat hoon
Main sadaqat hoon
Kayee naam hain meray
Khata-kaar, saza-war…
Budgumaan bhee hoon

Main raahi hoon weerano ka
Mehektay, khwaabeeda shabistano ka
Pur fareb insaano ka…
Jo meri ibadat ki hain mairaaj
Meray jazbon ka imtizaaj…
Sajda jinhain main nay
Kayee sadion tak kiya hay
Khoorooj-e-zeest diya hay

Shor hasti main meri
Dard o shikayat ka para hay
Haan yeh waar, is gunahgar kay
Haathon say hua hay…

Aur ab beh raha hay khoon…
Najanay kioon?

Zaaviay


Tum ney dekha
Kay buland haathon main
Hay girafta
Tumhara khwaab
Aur barh chalay tum
Bay awaaz aur baydharak… us taraf

Yeh kaisi razakari hay?
Qurbat ka wajd taari hay…
Kia alam-e-bedaari hay!

Us nay dekha
Kayee chehron main runga
Uska sakoon
Uski talaash
Aur jee utha wo yoon
Zindagee ki, bekhudi ki… chah main

Yeh qismaton kay raaz hain
Kin chahaton kay saaz hain?
Yeh rung-e-kainaat hain!

Main nay dekhi
Woh roshni jo kho betha tha
Jiskay dhokay main
Kayee zukhm sajaye thay
Aur kho chala main yoon
Arzoo kay, rung-o-boo kay… saraab main

Main jafa-on ka sawali tha
Woh jazbaat say khaali tha

Kis nay dekha?
Siyaah asmaan pay jhoolta
Woh chaand?
Jiski roshni
Is bay-dili ko
Ik saaya naya day gee…
Aur neend cheen lay gee…

Ronaq

Shaam rungeen
Pur-kaif ujalon main doobi
Nasheelay iradon main rachi…
Khushboo nazakaton ki
Rung layee hay…
Haan dekho… bahaar aye hay…

Ayeena muskura kar
Chamaktay aks say sharma gaya…
Aur muattar huin dil ki galiyaan
Milan ki sej pay kaliyaan…
Waadon ki khil rahi hain
Chund saa’atain mil rahi hain…

Ulfat ki ronamai hay
Qismat ki aqda-kushai hay…
Haan dekho… bahar aye hay…

Saanson ki hakoomat
Main naya walwala macha hay
Qurbat ka ghul bapa hay…
Raqsaan hay labon pay
Muskaan dheemi dheemi…
Nayee chahaton ki aseer
Naye chehron ki taskheer…

Pur-lutf, khwaabon si hay yeh shaam
Dhalti hay jo… dheeray dheeray
Simat-ti hay libaaday main raat kay
Teray husn ki poshaak ban kar
Dilnasheen, mahjabeen umangon ki
Mutarannum awaaz ban kar…

Sehmi sehmi…
Bheegi bheegi…
Madhosh sargoshiyaan hain
Chupi chupi si…
Hay palkon main sukh ki baaz gasht
Ik nashay ki kayfiat…
Jo tujhay suhani neend ki
Waadiyon main utaar kar
Teri jannat sanwaar kar
Kasak ka naag banay gee
Mujhay raat bhar dasay gee…